Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe ai zindagi aawaz mat de

Ozair Rahman

mujhe ai zindagi aawaz mat de

Ozair Rahman

MORE BYOzair Rahman

    mujhe ai zindagī āvāz mat de

    nahīñ manzil koī parvāz mat de

    jiye jaatā huuñ aadat ban chukī hai

    nahīñ sur lagte yārab saaz mat de

    nayā hai ruup aalam ḳhudāyā

    anokhā ab mujhe andāz mat de

    natīja jāntā huuñ dil-lagī

    sazā.eñ fāḳhta ko baaz mat de

    pas-e-parda rahā hai bhed ab tak

    nahīñ hāmil unheñ raaz mat de

    rahā anjām hai jinkī nazar meñ

    unheñ jo chāhe de āġhāz mat de

    nibhāyā farz kab hukmarāñ

    kisī qātil ko e.azāz mat de

    mujhe ai zindagi aawaz mat de

    nahin manzil koi parwaz mat de

    jiye jata hun aadat ban chuki hai

    nahin sur lagte yarab saz mat de

    naya hai rup aalam ka KHudaya

    anokha ab mujhe andaz mat de

    natija jaanta hun dil-lagi ka

    sazaen faKHta ko baz mat de

    pas-e-parda raha hai bhed ab tak

    nahin hamil unhen tu raaz mat de

    raha anjam hai jinki nazar mein

    unhen jo chahe de aaghaz mat de

    nibhaya farz hi kab hukmaran ka

    kisi qatil ko tu eazaz mat de

    RECITATIONS

    Ozair Rahman

    Ozair Rahman,

    Ozair Rahman

    mujhe ai zindagi aawaz mat de Ozair Rahman

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now