mujhe aisa koi jadu na aae
mujhe aisā koī jaadū na aa.e
ġhazāl-e-shab mire qaabū na aa.e
'ajab duniyā-e-lā-hāsil hai jis meñ
tirī ḳhushbū to aa.e tū na aa.e
ye shāḳh-e-dil ki had se baḌh rahī hai
idhar kyūñkar tire chāqū na aa.e
hamārī pyaas dariyā tak na pahuñchī
hamāre dasht meñ aahū na aa.e
ye ḳhālis raftagāñ kā ġham hai is meñ
ġham-e-duniyā tumhārī bū na aa.e
mujhe aisa koi jadu na aae
ghazal-e-shab mere qabu na aae
'ajab duniya-e-la-hasil hai jis mein
teri KHushbu to aae tu na aae
ye shaKH-e-dil ki had se baDh rahi hai
idhar kyunkar tere chaqu na aae
hamari pyas dariya tak na pahunchi
hamare dasht mein aahu na aae
ye KHalis raftagan ka gham hai is mein
gham-e-duniya tumhaari bu na aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.