mujhe andhere mein be-shak biTha diya hota
mujhe añdhere meñ be-shak biThā diyā hotā
magar charāġh kī sūrat jalā diyā hotā
na raushnī koī aatī mire ta.āqub meñ
jo apne-āp ko maiñ ne bujhā diyā hotā
ye dard jism ke yā-rab bahut shadīd lage
mujhe salīb pe do pal sulā diyā hotā
ye shukr hai ki mire paas terā ġham to rahā
vagarna zindagī ne to rulā diyā hotā
mujhe andhere mein be-shak biTha diya hota
magar charagh ki surat jala diya hota
na raushni koi aati mere taaqub mein
jo apne-ap ko main ne bujha diya hota
ye dard jism ke ya-rab bahut shadid lage
mujhe salib pe do pal sula diya hota
ye shukr hai ki mere pas tera gham to raha
wagarna zindagi ne to rula diya hota
- Book : Yaar Julahe (Pg. 151)
- Author : Yatindra Mishra
- Publication : Vaniprakashan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.