mujhe apna banana chahta hai
mujhe apnā banānā chāhtā hai
magar koī bahāna chāhtā hai
vo apnī guftugū kī raushnī se
shaboñ ko jagmagānā chāhtā hai
maiñ us kī huuñ usī kī ho rahūñgī
mujhe yuuñ to zamāna chāhtā hai
ġhazal meñ pyaar kī ḳhushbū basā kar
mire hoñToñ se gaanā chāhtā hai
bahut nazdīk huuñ us se magar ab
vo mujh ko fātehāna chāhtā hai
bharam bātoñ kā apnī kho chukā hai
nazar se gudgudānā chāhtā hai
'sabā' merī adhūrī shaḳhsiyat ko
mah-e-kāmil banānā chāhtā hai
mujhe apna banana chahta hai
magar koi bahana chahta hai
wo apni guftugu ki raushni se
shabon ko jagmagana chahta hai
main us ki hun usi ki ho rahungi
mujhe yun to zamana chahta hai
ghazal mein pyar ki KHushbu basa kar
mere honTon se gana chahta hai
bahut nazdik hun us se magar ab
wo mujh ko fatehana chahta hai
bharam baaton ka apni kho chuka hai
nazar se gudgudana chahta hai
'saba' meri adhuri shaKHsiyat ko
mah-e-kaamil banana chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.