mujhe batlaiye ab kaun si jine ki surat hai
mujhe batlā.īye ab kaun sī jiine kī sūrat hai
zamāna is ghane jañgal meñ ik chīte kī sūrat hai
bikharte jism le kar tund tūfānoñ meñ baiThe haiñ
koī zarre kī sūrat hai koī Tiile kī sūrat hai
churā laayā thā āñkhoñ meñ jo ik tasvīr duniyā kī
vo ab sahrā meñ ik sahme hue bachche kī sūrat hai
mirī tahrīr ke har lafz meñ zinda haiñ āvāzeñ
magar hairān huuñ chehra mirā katbe kī sūrat hai
ye kaisī aag hai 'afzal' jale saa.e bhī peḌoñ ke
dhueñ meñ kis taraf jā.ūñ ajab raste kī sūrat hai
mujhe batlaiye ab kaun si jine ki surat hai
zamana is ghane jangal mein ek chite ki surat hai
bikharte jism le kar tund tufanon mein baiThe hain
koi zarre ki surat hai koi Tile ki surat hai
chura laya tha aankhon mein jo ek taswir duniya ki
wo ab sahra mein ek sahme hue bachche ki surat hai
meri tahrir ke har lafz mein zinda hain aawazen
magar hairan hun chehra mera katbe ki surat hai
ye kaisi aag hai 'afzal' jale sae bhi peDon ke
dhuen mein kis taraf jaun ajab raste ki surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.