mujhe bhi nim ke jaisa na kar de
mujhe bhī niim ke jaisā na kar de
ki talḳhī ziist kī kaḌvā na kar de
ye terī aarzū aisā na kar de
zamāne meñ mujhe rusvā na kar de
mohabbat zindagī se vo bhī behad
kahīñ ye zindagī dhokā na kar de
tū is se qabl ho āñkhoñ se ojhal
mirā mālik mujhe andhā na kar de
atā kar de ilāhī phir se bachpan
mujhe har fikr se begāna kar de
sajā de din meñ taare shab meñ sūraj
agar vo chāhe to kyā kyā na kar de
siyāsat ke agar bas meñ ho 'gauhar'
mohabbat par bhī vo jurmāna kar de
mujhe bhi nim ke jaisa na kar de
ki talKHi zist ki kaDwa na kar de
ye teri aarzu aisa na kar de
zamane mein mujhe ruswa na kar de
mohabbat zindagi se wo bhi behad
kahin ye zindagi dhoka na kar de
tu is se qabl ho aankhon se ojhal
mera malik mujhe andha na kar de
ata kar de ilahi phir se bachpan
mujhe har fikr se begana kar de
saja de din mein tare shab mein suraj
agar wo chahe to kya kya na kar de
siyasat ke agar bas mein ho 'gauhar'
mohabbat par bhi wo jurmana kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.