mujhe bhi paDh lo ki harf-e-sawab ban jaun
mujhe bhī paḌh lo ki harf-e-savāb ban jā.ūñ
varaq varaq huuñ kisī din kitāb ban jā.ūñ
mire baġhair bhī kuchh din guzār le ai dost
na itnā pī ki maiñ terī sharāb ban jā.ūñ
baḌhā na fāsle har roz ajnabī kī tarah
na yuuñ bulā ki maiñ tujh par azaab ban jā.ūñ
kiyā thā tū ne to raushan charāġh kah ke mujhe
ye merā hausla maiñ āftāb ban jā.ūñ
kahāñ ye sochā thā ghabrā ke jis se niklā huuñ
phir ek din usī jangal kā ḳhvāb ban jā.ūñ
bulā rahī haiñ mujhe duur kī havā.eñ 'aah'
ye lag rahā hai ki ḳhāna-ḳharāb ban jā.ūñ
mujhe bhi paDh lo ki harf-e-sawab ban jaun
waraq waraq hun kisi din kitab ban jaun
mere baghair bhi kuchh din guzar le ai dost
na itna pi ki main teri sharab ban jaun
baDha na fasle har roz ajnabi ki tarah
na yun bula ki main tujh par azab ban jaun
kiya tha tu ne to raushan charagh kah ke mujhe
ye mera hausla main aaftab ban jaun
kahan ye socha tha ghabra ke jis se nikla hun
phir ek din usi jangal ka KHwab ban jaun
bula rahi hain mujhe dur ki hawaen 'ah'
ye lag raha hai ki KHana-KHarab ban jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.