mujhe bhi soz-e-mohabbat ki dad mil jati
mujhe bhī soz-e-mohabbat kī daad mil jaatī
jo aap sāmne aa kar mujhe miTā dete
karam pe aap ko maa.il agar kabhī paate
adū ke naam se ham hāl-e-dil sunā dete
samajhtā maiñ ki ḳhalish kaam kar ga.ī dil kī
taḌaptā dekh ke mujh ko jo muskurā dete
mujhe sahāre kī tāqat to baḳhsh dete aap
nigāh-e-nāz se phir bijliyāñ girā dete
baḌī ummīdoñ se aa.e haiñ aap ke dar par
huzūr aaj to dast-e-karam baḌhā dete
ham un se mehr-o-vafā ke umīd-vār nahīñ
magar na dil se hameñ is tarah bhulā dete
ye musht-e-ḳhāk bhī gardan-farāz ho jaatī
ġharīb 'najma' ko qadmoñ meñ gar jagah dete
mujhe bhi soz-e-mohabbat ki dad mil jati
jo aap samne aa kar mujhe miTa dete
karam pe aap ko mail agar kabhi pate
adu ke nam se hum haal-e-dil suna dete
samajhta main ki KHalish kaam kar gai dil ki
taDapta dekh ke mujh ko jo muskura dete
mujhe sahaare ki taqat to baKHsh dete aap
nigah-e-naz se phir bijliyan gira dete
baDi ummidon se aae hain aap ke dar par
huzur aaj to dast-e-karam baDha dete
hum un se mehr-o-wafa ke umid-war nahin
magar na dil se hamein is tarah bhula dete
ye musht-e-KHak bhi gardan-faraaz ho jati
gharib 'najma' ko qadmon mein gar jagah dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.