mujhe bhi ya-rab faraghat-e-mah-o-sal dena
mujhe bhī yā-rab farāġhat-e-māh-o-sāl denā
kabhī mire dil ke hausle bhī nikāl denā
ye ġham kī lambī añdherī shab kis tarah kaTegī
ufuq pe dil ke koī kiran to uchhāl denā
jo roz o shab ke nasīb meñ be-darī hai likhnī
na ḳhvāb denā na dil meñ shauq visāl denā
kabhī agar tum havāo dasht o jabal se guzro
to un kī mahrūmiyoñ ko merī misāl denā
ye zindagī kyā mire azā.em kā saath degī
mujhe kuchh is se bhī baḌh ke kār-e-muhāl denā
vo dil kī chāhat ḳhulūs kī bai.ateñ kahāñ haiñ
na.ī kahānī se sab ye bāteñ nikāl denā
mujhe bhi ya-rab faraghat-e-mah-o-sal dena
kabhi mere dil ke hausle bhi nikal dena
ye gham ki lambi andheri shab kis tarah kaTegi
ufuq pe dil ke koi kiran to uchhaal dena
jo roz o shab ke nasib mein be-dari hai likhni
na KHwab dena na dil mein shauq visal dena
kabhi agar tum hawao dasht o jabal se guzro
to un ki mahrumiyon ko meri misal dena
ye zindagi kya mere azaem ka sath degi
mujhe kuchh is se bhi baDh ke kar-e-muhaal dena
wo dil ki chahat KHulus ki baiaten kahan hain
nai kahani se sab ye baaten nikal dena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.