mujhe bhul jaane wale mere dil ki kuchh KHabar bhi
mujhe bhul jaane wale mere dil ki kuchh KHabar bhi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
mujhe bhuul jaane vaale mire dil kī kuchh ḳhabar bhī
mirī aañkh par na jaanā ye to ḳhushk bhī hai tar bhī
ye qadam ruke ruke se ye jhukā jhukā sā sar bhī
yahīñ un kā naqsh-e-pā hai yahī un kī rahguzar bhī
falak-āshnā sahī ham magar ehtiyāt lāzim
ki qafas meñ le na jaa.e ye mazāq-e-bāl-o-par bhī
baḌe shauq se hue the yuuñ haram ko ham ravāna
ye ḳhabar na thī ki rah meñ hai tumhārā sañg-e-dar bhī
ho darāz umr yārab mire shaiḳh-o-barahman kī
kahīñ ḳhatm ho na jaa.e ye jahān-e-ḳhair-o-shar bhī
na badal rahī haiñ ghaḌiyāñ na sitāre Dūbte haiñ
kahīñ thak ke so ga.ī hai shab-e-hijr kī sahar bhī
mujhe bhul jaane wale mere dil ki kuchh KHabar bhi
meri aankh par na jaana ye to KHushk bhi hai tar bhi
ye qadam ruke ruke se ye jhuka jhuka sa sar bhi
yahin un ka naqsh-e-pa hai yahi un ki rahguzar bhi
falak-ashna sahi hum magar ehtiyat lazim
ki qafas mein le na jae ye mazaq-e-baal-o-par bhi
baDe shauq se hue the yun haram ko hum rawana
ye KHabar na thi ki rah mein hai tumhaara sang-e-dar bhi
ho daraaz umr yarab mere shaiKH-o-barahman ki
kahin KHatm ho na jae ye jahan-e-KHair-o-shar bhi
na badal rahi hain ghaDiyan na sitare Dubte hain
kahin thak ke so gai hai shab-e-hijr ki sahar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.