mujhe bujha de mera daur muKHtasar kar de
mujhe bujhā de mirā daur muḳhtasar kar de
magar diye kī tarah mujh ko mo'atabar kar de
bikharte TūTte rishtoñ kī umr hī kitnī
maiñ terī shaam huuñ aa jā mirī sahar kar de
judā.iyoñ kī ye rāteñ to kāTnī hoñgī
kahāniyoñ ko koī kaise muḳhtasar kar de
tire ḳhayāl ke hāthoñ kuchh aisā bikhrā huuñ
ki jaisā bachcha kitābeñ idhar-udhar kar de
'vasīm' kis ne kahā thā ki yuuñ ġhazal kah kar
ye phuul jaisī zamīñ āñsuoñ se tar kar de
mujhe bujha de mera daur muKHtasar kar de
magar diye ki tarah mujh ko mo'atabar kar de
bikharte TuTte rishton ki umr hi kitni
main teri sham hun aa ja meri sahar kar de
judaiyon ki ye raaten to kaTni hongi
kahaniyon ko koi kaise muKHtasar kar de
tere KHayal ke hathon kuchh aisa bikhra hun
ki jaisa bachcha kitaben idhar-udhar kar de
'wasim' kis ne kaha tha ki yun ghazal kah kar
ye phul jaisi zamin aansuon se tar kar de
- Book : Mera Kiya (Pg. 66)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.