Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe chhoD kar KHush ho to KHush raho

Surender Sagar

mujhe chhoD kar KHush ho to KHush raho

Surender Sagar

MORE BYSurender Sagar

    mujhe chhoḌ kar ḳhush ho to ḳhush raho

    mire bin agar ḳhush ho to ḳhush raho

    ye din ke ujāle chubheñge bahut

    agar rāt-bhar ḳhush ho to ḳhush raho

    ġhamoñ se bharī zindagī meñ bhī tum

    kabhī muḳhtasar ḳhush ho to ḳhush raho

    mujhe bas tumhārī ḳhushī chāhiye

    agar tum udhar ḳhush ho to ḳhush raho

    du'ā.eñ mileñgī tumheñ 'umr-bhar

    raqīboñ ke ghar ḳhush ho to ḳhush raho

    kināroñ se 'sāgar' ko kyā dekhnā

    agar Duub kar ḳhush ho to ḳhush raho

    mujhe chhoD kar KHush ho to KHush raho

    mere bin agar KHush ho to KHush raho

    ye din ke ujale chubhenge bahut

    agar raat-bhar KHush ho to KHush raho

    ghamon se bhari zindagi mein bhi tum

    kabhi muKHtasar KHush ho to KHush raho

    mujhe bas tumhaari KHushi chahiye

    agar tum udhar KHush ho to KHush raho

    du'aen milengi tumhein 'umr-bhar

    raqibon ke ghar KHush ho to KHush raho

    kinaron se 'sagar' ko kya dekhna

    agar Dub kar KHush ho to KHush raho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now