Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

Khwaja Meer Dard

mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    mujhe dar se apne Taale hai ye batā mujhe kahāñ nahīñ

    koī aur bhī hai tire sivā agar nahīñ jahāñ nahīñ

    paḌī jis taraf ko nigāh yaañ nazar aa gayā hai ḳhudā vaañ

    ye haiñ go ki āñkhoñ putliyāñ mire dil meñ jaa.e butāñ nahīñ

    mire dil ke shīshe ko bevafā ne TukḌe TukḌe kar diyā

    mire paas to vahī ek thā yaañ dukān-e-shīsha-garāñ nahīñ

    mujhe raat saarī tere haañ kaTe kyuuñ ke rote na sham.a saañ

    ki ho sake hai kuchh ab bayāñ na ye baat hai ki zabāñ nahīñ

    koī samjhe kyuuñ ke ye mudda.ā ki pahelī hai ye mājrā

    kahā maiñ tujhe nahīñ chaah kyā lagā kahne mujh se ki haañ nahīñ

    na milā hameñ koī nukta-dāñ ye bipat sunā deñ bhalā kahāñ

    na huā sabhoñ pe vahī ayaañ jo kasū se yaañ to nihāñ nahīñ

    tujhe dard kyuuñ ki sunā.ūñ maiñ na ḳhudā kisī ko dikhā.e ye

    jo kuchh apne pe guzartī hai kahūñ kyā ki us bayāñ nahīñ

    mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin

    koi aur bhi hai tere siwa tu agar nahin tu jahan nahin

    paDi jis taraf ko nigah yan nazar aa gaya hai KHuda hi wan

    ye hain go ki aankhon ki putliyan mere dil mein jae butan nahin

    mere dil ke shishe ko bewafa tu ne TukDe TukDe hi kar diya

    mere pas to wahi ek tha yan dukan-e-shisha-garan nahin

    mujhe raat sari hi tere han kaTe kyun ke rote na shama san

    ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin

    koi samjhe kyun ke ye muddaa ki paheli sa hai ye majra

    kaha main tujhe nahin chah kya laga kahne mujh se ki han nahin

    na mila hamein koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan

    na hua sabhon pe wahi ayan jo kasu se yan to nihan nahin

    tujhe dard kyun ki sunaun main na KHuda kisi ko dikhae ye

    jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now