mujhe dariya ki maujon se bacha le jaega koi
mujhe dariyā kī maujoñ se bachā le jā.egā koī
maiñ aisī buuñd huuñ jis ko churā le jā.egā koī
bujhā kar taaq meñ rakh degā ye dast-e-sahar mujh ko
magar jab shaam aa.egī jalā le jā.egā koī
yahī kuchh soch kar apnī havelī chhoḌ aayā thā
agar maiñ ruuTh jā.ūñgā manā le jā.egā koī
ra.īsoñ kī ye bastī hai khaḌe haiñ raah meñ saa.il
kahegā haath meñ sikka duā le jā.egā koī
mujhe achchhā nahīñ lagtā kisī se maañg kar paḌhnā
kitābeñ maiñ ḳharīdūñgā uThā le jā.egā koī
churā laa.ī hai phūloñ se mujhe bād-e-sabā 'ḳhālid'
maiñ ḳhushbū huuñ mujhe apnā banā le jā.egā koī
mujhe dariya ki maujon se bacha le jaega koi
main aisi bund hun jis ko chura le jaega koi
bujha kar taq mein rakh dega ye dast-e-sahar mujh ko
magar jab sham aaegi jala le jaega koi
yahi kuchh soch kar apni haweli chhoD aaya tha
agar main ruTh jaunga mana le jaega koi
raison ki ye basti hai khaDe hain rah mein sail
kahega hath mein sikka dua le jaega koi
mujhe achchha nahin lagta kisi se mang kar paDhna
kitaben main KHaridunga uTha le jaega koi
chura lai hai phulon se mujhe baad-e-saba 'KHalid'
main KHushbu hun mujhe apna bana le jaega koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.