mujhe de ke dil jaan khonā paḌā hai
ġharaz haath donoñ se dhonā paḌā hai
jo ronā yahī hai to phūTeñgī āñkheñ
mujhe ab to āñkhoñ kā ronā paḌā hai
kiye saikaḌoñ ghar mohabbat ne ġhārat
suno jis mohalle meñ ronā paḌā hai
maiñ paatā nahīñ dil ko siine meñ apne
ka.ī din se ḳhālī ye konā paḌā hai
karo chal ke ābād ab gor ai 'rind'
bahut din se suunā vo konā paḌā hai
mujhe de ke dil jaan khona paDa hai
gharaz hath donon se dhona paDa hai
jo rona yahi hai to phuTengi aankhen
mujhe ab to aankhon ka rona paDa hai
kiye saikaDon ghar mohabbat ne ghaarat
suno jis mohalle mein rona paDa hai
main pata nahin dil ko sine mein apne
kai din se KHali ye kona paDa hai
karo chal ke aabaad ab gor ai 'rind'
bahut din se suna wo kona paDa hai
Source :
- Book : Roomani Ghazlen (Pg. 51)
- Author : Samina Hijab
-
Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi
(1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.