mujhe har zaKHm wo achchhe lage hain
mujhe har zaḳhm vo achchhe lage haiñ
tirī jānib se jo mujh pe lage haiñ
vo mere ghar bhalā aa.e bhī kaise
mire darvāze pe taale lage haiñ
kisī ne dil hamārā toḌ Daalā
tabhī to ham ġhazal kahne lage haiñ
ginūñ maiñ hijr kī rātoñ ko kaise
ye kuchh din saal ke jaise lage haiñ
na.e kuchh zaḳhm de do phir se mujh ko
purāne zaḳhm ab bharne lage haiñ
use kaise maiñ phir se yaad kar luuñ
bhulāne meñ jise arse lage haiñ
mujhe har zaKHm wo achchhe lage hain
teri jaanib se jo mujh pe lage hain
wo mere ghar bhala aae bhi kaise
mere darwaze pe tale lage hain
kisi ne dil hamara toD Dala
tabhi to hum ghazal kahne lage hain
ginun main hijr ki raaton ko kaise
ye kuchh din sal ke jaise lage hain
nae kuchh zaKHm de do phir se mujh ko
purane zaKHm ab bharne lage hain
use kaise main phir se yaad kar lun
bhulane mein jise arse lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.