mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
mujhe ḳhabar thī mirā intizār ghar meñ rahā
ye hādisa thā ki maiñ umr bhar safar meñ rahā
maiñ raqs kartā rahā saarī umr vahshat meñ
hazār halqa-e-zanjīr bām-o-dar meñ rahā
tire firāq kī qīmat hamāre paas na thī
tire visāl kā saudā hamāre sar meñ rahā
ye aag saath na hotī to raakh ho jaate
ajiib rañg tire naam se hunar meñ rahā
ab ek vādī-e-nisyāñ meñ chhuptā jaatā hai
vo ek saaya ki yādoñ kī rahguzar meñ rahā
mujhe KHabar thi mera intizar ghar mein raha
ye hadisa tha ki main umr bhar safar mein raha
main raqs karta raha sari umr wahshat mein
hazar halqa-e-zanjir baam-o-dar mein raha
tere firaq ki qimat hamare pas na thi
tere visal ka sauda hamare sar mein raha
ye aag sath na hoti to rakh ho jate
ajib rang tere nam se hunar mein raha
ab ek wadi-e-nisyan mein chhupta jata hai
wo ek saya ki yaadon ki rahguzar mein raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.