mujhe malal mein rakhna KHushi tumhaari thi
mujhe malāl meñ rakhnā ḳhushī tumhārī thī
magar maiñ ḳhush huuñ ki vābastagī tumhārī thī
bichhaḌ ke tum se ḳhizāñ ho ga.e to ye jaanā
hamāre husn meñ sab dilkashī tumhārī thī
ba-nām-e-shart-e-mohabbat ye ashk bahne do
hameñ ḳhabar hai ki jo bebasī tumhārī thī
vo sirf maiñ to nahīñ thā jo hijr meñ royā
vo kaifiyat jo mirī thī vahī tumhārī thī
gila nahīñ ki mire haal par hañsī duniyā
gila to ye hai ki pahlī hañsī tumhārī thī
mujhe malal mein rakhna KHushi tumhaari thi
magar main KHush hun ki wabastagi tumhaari thi
bichhaD ke tum se KHizan ho gae to ye jaana
hamare husn mein sab dilkashi tumhaari thi
ba-nam-e-shart-e-mohabbat ye ashk bahne do
hamein KHabar hai ki jo bebasi tumhaari thi
wo sirf main to nahin tha jo hijr mein roya
wo kaifiyat jo meri thi wahi tumhaari thi
gila nahin ki mere haal par hansi duniya
gila to ye hai ki pahli hansi tumhaari thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.