mujhe mujh se milātī jā rahī hai
faqīrī raas aatī jā rahī hai
ye miTTī mere ḳhāl-o-ḳhad churā kar
tirā chehra banātī jā rahī hai
ye kis kī yaad hai jo mere dil meñ
musalle se bichhātī jā rahī hai
ajab shai hai suḳhan kī sar-bulandī
mire sar ko jhukātī jā rahī hai
jo mastī raqs meñ rakhtī thī mujh ko
vo sajdoñ meñ rulātī jā rahī hai
lahū bahne lagā hai eḌiyoñ tak
ibādat rañg laatī jā rahī hai
mujhe mujh se milati ja rahi hai
faqiri ras aati ja rahi hai
ye miTTi mere KHal-o-KHad chura kar
tera chehra banati ja rahi hai
ye kis ki yaad hai jo mere dil mein
musalle se bichhati ja rahi hai
ajab shai hai suKHan ki sar-bulandi
mere sar ko jhukati ja rahi hai
jo masti raqs mein rakhti thi mujh ko
wo sajdon mein rulati ja rahi hai
lahu bahne laga hai eDiyon tak
ibaadat rang lati ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.