mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein
mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein
Abdussamad Khan Qaiser
MORE BYAbdussamad Khan Qaiser
mujhe na DhūñD chaman kī hasīñ bahāroñ meñ
safīr-e-dasht huuñ rahtā huuñ ḳhārzāroñ meñ
har ek baat kī tashrīh to nahīñ hotī
kabhī to baat ko samjhā karo ishāroñ meñ
vo kaisā josh thā bachchoñ meñ bhī shahādat kā
uchak rahe the jo panjoñ ke bal qatāroñ meñ
ḳhushā ki merī basīrat abhī salāmat hai
parakh rahā huuñ nagīnoñ ko sang-pāroñ meñ
bajā ki tujh ko hai shauq-e-shanāvarī lekin
hai farq jhiil nadī bahr ke kināroñ meñ
use ye ḳhauf ki maiñ bā-asar na ho jā.ūñ
vo merā naam bhī letā nahīñ ishāroñ meñ
riyā-pasand mizājoñ meñ diin kyā 'qaisar'
nahīñ hai jauhar-e-īmāñ hī dīn-dāroñ meñ
mujhe na DhunD chaman ki hasin bahaaron mein
safir-e-dasht hun rahta hun KHarzaron mein
har ek baat ki tashrih to nahin hoti
kabhi to baat ko samjha karo ishaaron mein
wo kaisa josh tha bachchon mein bhi shahadat ka
uchak rahe the jo panjon ke bal qataron mein
KHusha ki meri basirat abhi salamat hai
parakh raha hun naginon ko sang-paron mein
baja ki tujh ko hai shauq-e-shanawari lekin
hai farq jhil nadi bahr ke kinaron mein
use ye KHauf ki main ba-asar na ho jaun
wo mera nam bhi leta nahin ishaaron mein
riya-pasand mizajon mein din kya 'qaisar'
nahin hai jauhar-e-iman hi din-daron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.