mujhe pahle to lagta tha ki zati masala hai
mujhe pahle to lagtā thā ki zaatī mas.ala hai
maiñ phir samjhā mohabbat kā.enātī mas.ala hai
parinde qaid haiñ tum chahchahāhaT chāhte ho
tumheñ to achchhā-ḳhāsā nafsiyātī mas.ala hai
hameñ thoḌā junūñ darkār hai thoḌā sukūñ bhī
hamārī nasl meñ ik jīniyātī mas.ala hai
baḌī mushkil hai bante silsiloñ meñ ye tavaqquf
hamāre rābtoñ kī be-sabātī mas.ala hai
vo kahte haiñ ki jo hogā vo aage jā ke hogā
to ye duniyā bhī koī tajrabātī mas.ala hai
hamārā vasl bhī thā ittifāqī mas.ala thā
hamārā hijr bhī hai hādsātī mas.ala hai
mujhe pahle to lagta tha ki zati masala hai
main phir samjha mohabbat kaenati masala hai
parinde qaid hain tum chahchahahaT chahte ho
tumhein to achchha-KHasa nafsiyati masala hai
hamein thoDa junun darkar hai thoDa sukun bhi
hamari nasl mein ek jiniyati masala hai
baDi mushkil hai bante silsilon mein ye tawaqquf
hamare rabton ki be-sabaati masala hai
wo kahte hain ki jo hoga wo aage ja ke hoga
to ye duniya bhi koi tajrabaati masala hai
hamara wasl bhi tha ittifaqi masala tha
hamara hijr bhi hai hadsati masala hai
- Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 51)
- Author : Umair Nazmi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.