mujhe qarar bhanwar mein use kinare mein
mujhe qarār bhañvar meñ use kināre meñ
so kitnī duur talak bahte ek dhāre meñ
mujhe bhī paḌ ga.ī aadat daroġh-goī kī
vo mujh se pūchhtā rahtā thā mere baare meñ
ye kārobār-e-mohabbat hai tum na samjhoge
huā hai mujh ko bahut fā.eda ḳhasāre meñ
kahāñ rahā vo gumān ab ki haiñ zamāna-shanās
ulajh ke rah ga.e zū-ma.anī ik ishāre meñ
ajiib baat sahī ḳhud ko dād-e-fan denā
kisī ke lams kī ḳhushbū hai isti.āre meñ
mujhe qarar bhanwar mein use kinare mein
so kitni dur talak bahte ek dhaare mein
mujhe bhi paD gai aadat darogh-goi ki
wo mujh se puchhta rahta tha mere bare mein
ye karobar-e-mohabbat hai tum na samjhoge
hua hai mujh ko bahut faeda KHasare mein
kahan raha wo guman ab ki hain zamana-shanas
ulajh ke rah gae zu-mani ek ishaare mein
ajib baat sahi KHud ko dad-e-fan dena
kisi ke lams ki KHushbu hai istiare mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.