mujhe rang-e-KHwab se zindagi ka yaqin mila
mujhe rañg-e-ḳhvāb se zindagī kā yaqīñ milā
kabhī dil dukhā to kuchh aur bhī vo qarīñ milā
koī qissa hijr-o-visāl kā na sunā mujhe
jo harīm-e-dard tak aa gayā so vahīñ milā
sar-e-ḳhvāb hī kabhī tum bhī to mujhe dekhte
vo tilism thā ki falak bhī zer-e-nagīñ milā
isī aa.ine se mileñgī merī gavāhiyāñ
tumheñ aks merā jis aa.ine meñ nahīñ milā
kahīñ naqsh-e-pā koī mauj-e-rañg nahīñ thī maiñ
maiñ vo soch huuñ jise e'tibār-e-jabīñ milā
mirī zindagī kaḌī dhuup meñ to kaTī magar
mirī chhāñv sā koī sā.ebāñ bhī kahīñ milā
huā yuuñ ki phir mujhe zindagī ne basar kiyā
koī din the jab mujhe har nazāra hasīñ milā
mujhe rang-e-KHwab se zindagi ka yaqin mila
kabhi dil dukha to kuchh aur bhi wo qarin mila
koi qissa hijr-o-visal ka na suna mujhe
jo harim-e-dard tak aa gaya so wahin mila
sar-e-KHwab hi kabhi tum bhi to mujhe dekhte
wo tilism tha ki falak bhi zer-e-nagin mila
isi aaine se milengi meri gawahiyan
tumhein aks mera jis aaine mein nahin mila
kahin naqsh-e-pa koi mauj-e-rang nahin thi main
main wo soch hun jise e'tibar-e-jabin mila
meri zindagi kaDi dhup mein to kaTi magar
meri chhanw sa koi saeban bhi kahin mila
hua yun ki phir mujhe zindagi ne basar kiya
koi din the jab mujhe har nazara hasin mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.