Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

Naeem Zarrar Ahmad

mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

Naeem Zarrar Ahmad

MORE BYNaeem Zarrar Ahmad

    mujhe rif.atoñ ḳhumār thā so nahīñ rahā

    tire dostoñ meñ shumār thā so nahīñ rahā

    jise ab samajhte ho baar dīda-o-jān pe

    kabhī rāh-e-manzil-e-yār thā so nahīñ rahā

    tirī yaad bhī terī yaad thī so chalī ga.ī

    tirā ġham merā qarār thā so nahīñ rahā

    rah-e-dostī ke musāfiro zarā dekh kar

    isī rah maiñ bhī savār thā so nahīñ rahā

    vo jo pūchhte haiñ 'na.īm' use kyā huā

    unheñ kah do un pe nisār thā so nahīñ rahā

    mujhe rifaton ka KHumar tha so nahin raha

    tere doston mein shumar tha so nahin raha

    jise ab samajhte ho bar dida-o-jaan pe

    kabhi rah-e-manzil-e-yar tha so nahin raha

    teri yaad bhi teri yaad thi so chali gai

    tera gham hi mera qarar tha so nahin raha

    rah-e-dosti ke musafiro zara dekh kar

    isi rah ka main bhi sawar tha so nahin raha

    wo jo puchhte hain 'naim' ka use kya hua

    unhen kah do un pe nisar tha so nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now