mujhe ruswa kiya isne ise ab main sikhaunga
mujhe rusvā kiyā is ne ise ab maiñ sikhā.ūñgā
maiñ ab is dil ko 'ibrat kā nishāñ aisā banā.ūñgā
tumhārā 'ishq to e'zāz thā mere liye jānāñ
tumhārā hijr to maiñ 'iid ke jaise manā.ūñgā
likhe the ḳhuun se maiñ ne jo saare ḳhat mohabbat meñ
nikālūñgā kitāboñ se sar-e-mahfil jalā dūñgā
sar-e-mahfil kiyā rusvā judā mujh se kiyā mujh ko
sitam ai 'ishq sab tere ḳhudā ko maiñ batā.ūñgā
miTā dūñgā mohabbat se ye nafrat dushmanī saarī
maiñ ab is 'iid dushman ko gale apne lagā.ūñgā
mujhe ruswa kiya is ne ise ab main sikhaunga
main ab is dil ko 'ibrat ka nishan aisa banaunga
tumhaara 'ishq to e'zaz tha mere liye jaanan
tumhaara hijr to main 'id ke jaise manaunga
likhe the KHun se main ne jo sare KHat mohabbat mein
nikalunga kitabon se sar-e-mahfil jala dunga
sar-e-mahfil kiya ruswa juda mujh se kiya mujh ko
sitam ai 'ishq sab tere KHuda ko main bataunga
miTa dunga mohabbat se ye nafrat dushmani sari
main ab is 'id dushman ko gale apne lagaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.