mujhe sanson ki hai thoD piya
mujhe sāñsoñ kī hai thoḌ piyā
mirā saath abhī mat chhoḌ piyā
karī minnat zaarī tar le sab
maiñ ne haath diye haiñ joḌ piyā
merī maañg sindūr se ḳhālī kar
harī chūḌī aa kar toḌ piyā
kahīñ parbat paar maiñ bas jā.ūñ
jahāñ dikhe na merā koḌh piyā
maiñ ne pag pag terī balā.eñ liiñ
maiñ ne phūñke vird karoḌ piyā
merī aas kī saañs ukhaḌtī hai
tū mukh apnā na moḌ piyā
tirā hijr vichhoḌā maar gayā
liyā saarā lahū nichoḌ piyā
merī āñkheñ ro ro ḳhaak huiiñ
mire ashk na aise roḌ piyā
tire sikke mujh ko sonā haiñ
chal maaTī maTkī phoḌ piyā
mirā haal dhamāl hai jogan sā
maiñ ne vajd liyā hai oḌh piyā
hai ye prem janm-janmātā kā
mujhe saat janam tirī loḌ piyā
mujhe sanson ki hai thoD piya
mera sath abhi mat chhoD piya
kari minnat zari tar le sab
main ne hath diye hain joD piya
meri mang sindur se KHali kar
hari chuDi aa kar toD piya
kahin parbat par main bas jaun
jahan dikhe na mera koDh piya
main ne pag pag teri balaen lin
main ne phunke wird karoD piya
meri aas ki sans ukhaDti hai
tu mukh apna na moD piya
tera hijr wichhoDa mar gaya
liya sara lahu nichoD piya
meri aankhen ro ro KHak huin
mere ashk na aise roD piya
tere sikke mujh ko sona hain
chal maTi maTki phoD piya
mera haal dhamal hai jogan sa
main ne wajd liya hai oDh piya
hai ye prem janm-janmata ka
mujhe sat janam teri loD piya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.