mujhe shad rakhna ki nashad rakhna
mujhe shaad rakhnā ki nāshād rakhnā
mire diida o dil ko ābād rakhnā
bhulā.ī nahīñ jā sakeñgī ye bāteñ
tumheñ yaad ā.eñge ham yaad rakhnā
vo nāshād o barbād rakhte haiñ mujh ko
ilāhī unheñ shaad o ābād rakhnā
tumheñ bhī qasam hai ki jo sar jhukā de
usī ko tah-e-teġh-e-bedād rakhnā
mileñge tumheñ raah meñ but-kade bhī
zarā apne allāh ko yaad rakhnā
jahāñ bhī nashe meñ qadam laḌkhaḌā.eñ
vahīñ ek masjid kī buniyād rakhnā
sitāroñ pe chalte hue ibn-e-ādam
nazar meñ farishtoñ kī uftād rakhnā
'hafīz' apne afkār kī sādgī ko
takalluf kī uljhan se āzād rakhnā
mujhe shad rakhna ki nashad rakhna
mere dida o dil ko aabaad rakhna
bhulai nahin ja sakengi ye baaten
tumhein yaad aaenge hum yaad rakhna
wo nashad o barbaad rakhte hain mujh ko
ilahi unhen shad o aabaad rakhna
tumhein bhi qasam hai ki jo sar jhuka de
usi ko tah-e-tegh-e-bedad rakhna
milenge tumhein rah mein but-kade bhi
zara apne allah ko yaad rakhna
jahan bhi nashe mein qadam laDkhaDaen
wahin ek masjid ki buniyaad rakhna
sitaron pe chalte hue ibn-e-adam
nazar mein farishton ki uftad rakhna
'hafiz' apne afkar ki sadgi ko
takalluf ki uljhan se aazad rakhna
- Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 446)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.