mujhe shuur bhi KHwahish ka dagh lagne laga
mujhe shu.ūr bhī ḳhvāhish kā daaġh lagne lagā
jahāñ bhī dil ko lagāyā dimāġh lagne lagā
talāsh itnā kiyā raushnī ko jangal meñ
thakan ke baa'd añdherā charāġh lagne lagā
kamāl darje kī shaffāfiyat thī āñkhoñ meñ
ḳhud apnā aks mujhe un meñ daaġh lagne lagā
palak parinda thā lab phuul aur zulf shajar
vo chehra pahlī nazar meñ hī baaġh lagne lagā
tū sāmne thā magar koī aur lag rahā thā
pas-e-ḳhalā-e-mohabbat surāġh lagne lagā
mujhe shuur bhi KHwahish ka dagh lagne laga
jahan bhi dil ko lagaya dimagh lagne laga
talash itna kiya raushni ko jangal mein
thakan ke ba'd andhera charagh lagne laga
kamal darje ki shaffafiyat thi aankhon mein
KHud apna aks mujhe un mein dagh lagne laga
palak parinda tha lab phul aur zulf shajar
wo chehra pahli nazar mein hi bagh lagne laga
tu samne tha magar koi aur lag raha tha
pas-e-KHala-e-mohabbat suragh lagne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.