mujhe sire se pakaD kar udheD deti hai
mujhe sire se pakaḌ kar udheḌ detī hai
maiñ ek jhuuT vo sachche subūt jaisī hai
maiñ roz roz tabassum meñ chhuptā phirtā huuñ
udāsī hai ki mujhe roz DhūñDh letī hai
zarūr kuchh to banā.egī zindagī mujh ko
qadam qadam pe mirā imtihān letī hai
jo ek phuul khilā hai sahar kī palkoñ par
tumhāre jism kī ḳhushbū usī ke jaisī hai
vo raushnī jo sitāroñ kā ḳhaas zevar hai
amiiq āñkhoñ meñ aksar dikhā.ī detī hai
mujhe sire se pakaD kar udheD deti hai
main ek jhuT wo sachche subut jaisi hai
main roz roz tabassum mein chhupta phirta hun
udasi hai ki mujhe roz DhunDh leti hai
zarur kuchh to banaegi zindagi mujh ko
qadam qadam pe mera imtihan leti hai
jo ek phul khila hai sahar ki palkon par
tumhaare jism ki KHushbu usi ke jaisi hai
wo raushni jo sitaron ka KHas zewar hai
amiq aankhon mein aksar dikhai deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.