mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha
mujhe taslīm be-chūn-o-churā tū haq-ba-jānib thā
mire anfās par lekin 'ajab pindār ġhālib thā
vagarna jo huā us se sivā.e rañj kyā hāsil
magar haañ maslahat kī rau se dekheñ to munāsib thā
maiñ tere baa'd jis se bhī milā tīkhā rakhā lahja
ki is be-laus chāhat ke 'evaz itnā to vājib thā
maiñ kuchh pūchhūñ bhī to aksar javāban kuchh nahīñ kahtā
guzishta ek 'arse se jo bas mujh se muḳhātib thā
maiñ umr-e-rafta kī baazī se itnā hī samajhtā huuñ
shikast o fat.h do harf-e-izāfī khel jālib thā
mujhe taslim be-chun-o-chura tu haq-ba-jaanib tha
mere anfas par lekin 'ajab pindar ghaalib tha
wagarna jo hua us se siwae ranj kya hasil
magar han maslahat ki rau se dekhen to munasib tha
main tere ba'd jis se bhi mila tikha rakha lahja
ki is be-laus chahat ke 'ewaz itna to wajib tha
main kuchh puchhun bhi to aksar jawaban kuchh nahin kahta
guzishta ek 'arse se jo bas mujh se muKHatib tha
main umr-e-rafta ki bazi se itna hi samajhta hun
shikast o fath do harf-e-izafi khel jalib tha
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 24)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.