Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai

Shaukat Wasti

mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai

Shaukat Wasti

mujhe to rañj qabā-hā-e-tār-tār hai

ḳhizāñ se baḌh ke guloñ par sitam bahār hai

jab aa.e hosh na thā kis nagar se aa.e haiñ

chale to ilm nahīñ qasd kis dayār hai

bayāñ yahī sar-e-mimbar kareñge phir nukta

hamāre vāste jis par ye hukm daar hai

har ek zarre ko hai āftāb taufīq

har ek buuñd meñ imkān ābshār hai

agar nasha hai to saaqī mast āñkhoñ meñ

agar maza hai to mahbūb ke kanār hai

hamāre ishq sanjīdgī pe tanz na kar

hameñ ḳhabar hai magar mas.ala vaqār hai

nashāt-e-vasl ke lamhāt ḳhuub the 'shaukat'

firāq meñ bhī maza ḳhaas intizār hai

mujhe to ranj qaba-ha-e-tar-tar ka hai

KHizan se baDh ke gulon par sitam bahaar ka hai

jab aae hosh na tha kis nagar se aae hain

chale to ilm nahin qasd kis dayar ka hai

bayan yahi sar-e-mimbar karenge phir nukta

hamare waste jis par ye hukm dar ka hai

har ek zarre ko hai aaftab ki taufiq

har ek bund mein imkan aabshaar ka hai

agar nasha hai to saqi ki mast aankhon mein

agar maza hai to mahbub ke kanar ka hai

hamare ishq ki sanjidgi pe tanz na kar

hamein KHabar hai magar masala waqar ka hai

nashat-e-wasl ke lamhat KHub the 'shaukat'

firaq mein bhi maza KHas intizar ka hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now