mujhi se puchh raha tha mera pata koi
mujhī se pūchh rahā thā mirā patā koī
butoñ ke shahr meñ maujūd thā ḳhudā koī
ḳhamoshiyoñ kī chaTānoñ ko toḌne ke liye
kisī ke paas nahīñ tīsha-e-sadā koī
daraḳht haath uThā kar salām karte the
mire junūñ kā mubārak thā marhala koī
samajh sakā na magar koī pattharoñ kī zabāñ
har ek lamha lagā boltā huā koī
ye band lab haiñ ki koī khulī huī sī kitāb
mire savāl pe is dam to boltā koī
varaq pe raat ke likkhī hai sub.h kī tahrīr
ye ek vaqt hai be-rañg-o-nūr sā koī
na harf harf huā aks-e-guftugū merā
samajhnā chāho to le aao aa.ina koī
ik āñsuoñ kā samundar thā jal-parī kā libās
milā to aise milā paikar-e-vafā koī
har ek zehn meñ apne hī band hai 'mājid'
fazā ke ḳhol se bāhar hai rāsta koī
mujhi se puchh raha tha mera pata koi
buton ke shahr mein maujud tha KHuda koi
KHamoshiyon ki chaTanon ko toDne ke liye
kisi ke pas nahin tisha-e-sada koi
daraKHt hath uTha kar salam karte the
mere junun ka mubarak tha marhala koi
samajh saka na magar koi pattharon ki zaban
har ek lamha laga bolta hua koi
ye band lab hain ki koi khuli hui si kitab
mere sawal pe is dam to bolta koi
waraq pe raat ke likkhi hai subh ki tahrir
ye ek waqt hai be-rang-o-nur sa koi
na harf harf hua aks-e-guftugu mera
samajhna chaho to le aao aaina koi
ek aansuon ka samundar tha jal-pari ka libas
mila to aise mila paikar-e-wafa koi
har ek zehn mein apne hi band hai 'majid'
faza ke KHol se bahar hai rasta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.