mujtam.a gar merī aahoñ kā dhuāñ ho jā.egā
āsmāñ ik aur zer-e-āsmāñ ho jā.egā
ik jahannam hai nihāñ siine meñ zaa.e.a kar na tiir
aate aate dil talak jal kar dhuāñ ho jā.egā
un ke aage haal merā dāvar-e-mahshar na pūchh
mil ga.iiñ nazreñ to kuchh kā kuchh bayāñ ho jā.egā
ḳhaak ho ke phir bhī kaam aa.egā merā dāġh-e-dil
shām-e-ġhurbat meñ charāg-e-kārvāñ ho jā.egā
apne markaz kī taraf har chiiz kartī hai rujūa
tinkā tinkā kar ke ik din āshiyāñ ho jā.egā
mujtama gar meri aahon ka dhuan ho jaega
aasman ek aur zer-e-asman ho jaega
ek jahannam hai nihan sine mein zaea kar na tir
aate aate dil talak jal kar dhuan ho jaega
un ke aage haal mera dawar-e-mahshar na puchh
mil gain nazren to kuchh ka kuchh bayan ho jaega
KHak ho ke phir bhi kaam aaega mera dagh-e-dil
sham-e-ghurbat mein charag-e-karwan ho jaega
apne markaz ki taraf har chiz karti hai rujua
tinka tinka kar ke ek din aashiyan ho jaega
Source :
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 295)
- Author : فرحت احساس
-
Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
(2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.