muKhaalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha
muḳhālifoñ ke jilau meñ vo aaj shāmil thā
vafā-parast rutoñ kā jo shaḳhs hāsil thā
vo merī zaat kī pahchān bhī ta.āruf bhī
mire lahū meñ ba-rañg-e-hayāt shāmil thā
hasīn raat thī hāthoñ meñ haath the ham the
kanār-e-āb ḳhamoshī thī māh-e-kāmil thā
taġhayyurāt-e-zamāna bhī kyā ajab shai haiñ
jo jāñ-nisār thā pahle vo aaj qātil thā
mujhe bhī faqr kī daulat pe faḳhr thā yaaro
use bhī la.al-o-guhar kā ġhurūr hāsil thā
bahut hī saada tabī.at thā un dinoñ 'arshad'
ki jab vo mehr-o-ḳhulūs-o-vafā kā qaa.il thā
muKHalifon ke jilau mein wo aaj shamil tha
wafa-parast ruton ka jo shaKHs hasil tha
wo meri zat ki pahchan bhi taaruf bhi
mere lahu mein ba-rang-e-hayat shamil tha
hasin raat thi hathon mein hath the hum the
kanar-e-ab KHamoshi thi mah-e-kaamil tha
taghayyuraat-e-zamana bhi kya ajab shai hain
jo jaan-nisar tha pahle wo aaj qatil tha
mujhe bhi faqr ki daulat pe faKHr tha yaro
use bhi lal-o-guhar ka ghurur hasil tha
bahut hi sada tabiat tha un dinon 'arshad'
ki jab wo mehr-o-KHulus-o-wafa ka qail tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.