muKHtalif ek hi sipah ka dukh
muḳhtalif ek hī sipāh kā dukh
ik payāde kā ek shaah kā dukh
manziloñ tak hamāre saath gayā
muḳhtasar ek shāhrāh kā dukh
dukh hameñ ik adhūre rishte kā
isī rishte se phir nibāh kā dukh
ya.anī yak-tarfa thā hamārā ishq
ham ne paalā thā ḳhvāh-maḳhvāh kā dukh
aap shahzādī lene aa.e haiñ
kaise samjheñge bādshāh kā dukh
muKHtalif ek hi sipah ka dukh
ek payaade ka ek shah ka dukh
manzilon tak hamare sath gaya
muKHtasar ek shahrah ka dukh
dukh hamein ek adhure rishte ka
isi rishte se phir nibah ka dukh
yani yak-tarfa tha hamara ishq
hum ne pala tha KHwah-maKHwah ka dukh
aap shahzadi lene aae hain
kaise samjhenge baadshah ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.