muKHtalif hain meri bahaar ke rang
muḳhtalif haiñ mirī bahār ke rañg
kuchh mire apne kuchh udhār ke rañg
aaj yaksar bahār le aa.ī
mere dil kī galī meñ pyaar ke rañg
terī āñkhoñ se milte-julte haiñ
merī āñkhoñ ke ābshār ke rañg
dil kī chaukhaT sajā.e baiThe haiñ
aaj bhī tere intizār ke rañg
raat mil kar gale bahut ro.e
terī yādoñ se mere pyaar ke rañg
vaqt kī dhuup kā qusūr nahīñ
the hī kachche vo e'tibār ke rañg
thak ga.e par mahak na lā paa.e
kāġhzī phuul par bahār ke rañg
dhuup ruḳh par paḌī havas kī 'sahar'
uḌ ga.e ishq ke ḳhumār ke rañg
muKHtalif hain meri bahaar ke rang
kuchh mere apne kuchh udhaar ke rang
aaj yaksar bahaar le aai
mere dil ki gali mein pyar ke rang
teri aankhon se milte-julte hain
meri aankhon ke aabshaar ke rang
dil ki chaukhaT sajae baiThe hain
aaj bhi tere intizar ke rang
raat mil kar gale bahut roe
teri yaadon se mere pyar ke rang
waqt ki dhup ka qusur nahin
the hi kachche wo e'tibar ke rang
thak gae par mahak na la pae
kaghzi phul par bahaar ke rang
dhup ruKH par paDi hawas ki 'sahar'
uD gae ishq ke KHumar ke rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.