muKHtasar hote hue bhi zindagi baDh jaegi
muḳhtasar hote hue bhī zindagī baḌh jā.egī
maañ kī āñkheñ chuum liije raushnī baḌh jā.egī
maut kā aanā to tai hai maut aa.egī magar
aap ke aane se thoḌī zindagī baḌh jā.egī
itnī chāhat se na dekhā kījiye mahfil meñ aap
shahr vāloñ se hamārī dushmanī baḌh jā.egī
aap ke hañsne se ḳhatra aur bhī baḌh jā.egā
is tarah to aur āñkhoñ kī namī baḌh jā.egī
bevafā.ī khel kā hissa hai jaane de ise
tazkira us se na kar sharmindagī baḌh jā.egī
muKHtasar hote hue bhi zindagi baDh jaegi
man ki aankhen chum lije raushni baDh jaegi
maut ka aana to tai hai maut aaegi magar
aap ke aane se thoDi zindagi baDh jaegi
itni chahat se na dekha kijiye mahfil mein aap
shahr walon se hamari dushmani baDh jaegi
aap ke hansne se KHatra aur bhi baDh jaega
is tarah to aur aankhon ki nami baDh jaegi
bewafai khel ka hissa hai jaane de ise
tazkira us se na kar sharmindagi baDh jaegi
- Book : Sukhan Sarai (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.