muKHtasar shab ki tawalat nahin ki ja sakti
muḳhtasar shab kī tavālat nahīñ kī jā saktī
kam kisī taur aziyyat nahīñ kī jā saktī
ham ne to ek parī-vash se mohabbat kī hai
log kahte haiñ mohabbat nahīñ kī jā saktī
laakh hote huuñ sabab tark-e-sukūnat ke magar
shahr-e-jāñ se kabhī hijrat nahīñ kī jā saktī
mere nādān mat is ko mirī fankārī samajh
ḳhud pe taarī kabhī vahshat nahīñ kī jā saktī
vasl par dil hī kisī kā na ho maa.il jab tak
hijr kī puurī zarūrat nahīñ kī jā saktī
shart mat rakh ki rah-e-ishq-e-butāñ meñ 'ādil'
vaqt kī rū se baġhāvat nahīñ kī jā saktī
muKHtasar shab ki tawalat nahin ki ja sakti
kam kisi taur aziyyat nahin ki ja sakti
hum ne to ek pari-wash se mohabbat ki hai
log kahte hain mohabbat nahin ki ja sakti
lakh hote hun sabab tark-e-sukunat ke magar
shahr-e-jaan se kabhi hijrat nahin ki ja sakti
mere nadan mat is ko meri fankari samajh
KHud pe tari kabhi wahshat nahin ki ja sakti
wasl par dil hi kisi ka na ho mail jab tak
hijr ki puri zarurat nahin ki ja sakti
shart mat rakh ki rah-e-ishq-e-butan mein 'adil'
waqt ki ru se baghawat nahin ki ja sakti
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.