Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare

Mahtab Haider Naqvi

muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare

Mahtab Haider Naqvi

MORE BYMahtab Haider Naqvi

    muḳhtasar zindagī meñ kitnī nādānī kare

    in nazāroñ ko koī dekhe ki hairānī kare

    dhuup meñ in ābgīnoñ ko liye phirtā huuñ maiñ

    koī saaya mere ḳhvāboñ nigahbānī kare

    ek maiñ huuñ aur dastak kitne darvāzoñ pe duuñ

    kitnī dahlīzoñ pe sajda ek peshānī kare

    raat aisī chāhiye māñge jo din bhar hisāb

    ḳhvāb aisā ho jo in āñkhoñ meñ vīrānī kare

    sāhiloñ par maiñ khaḌā huuñ tishna-kāmoñ tarah

    koī mauj-e-āb merī aañkh ko paanī kare

    muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare

    in nazaron ko koi dekhe ki hairani kare

    dhup mein in aabginon ko liye phirta hun main

    koi saya mere KHwabon ki nigahbani kare

    ek main hun aur dastak kitne darwazon pe dun

    kitni dahlizon pe sajda ek peshani kare

    raat aisi chahiye mange jo din bhar ka hisab

    KHwab aisa ho jo in aankhon mein virani kare

    sahilon par main khaDa hun tishna-kaamon ki tarah

    koi mauj-e-ab meri aankh ko pani kare

    RECITATIONS

    Mahtab Haider Naqvi

    Mahtab Haider Naqvi,

    Mahtab Haider Naqvi

    muKHtasar si zindagi mein kitni nadani kare Mahtab Haider Naqvi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now