mulk ki miTTi kabhi dil se juda hoti nahin
mulk kī miTTī kabhī dil se judā hotī nahīñ
kitnā bhī maiñ tañg kar luuñ maañ ḳhafā hotī nahīñ
Diary meñ jo buzurgoñ ne likhīñ thī ibārateñ
ab amal ke vāste un par razā hotī nahīñ
vo milā hai jab se mujh ko maut se lagtā hai Dar
us kī shirkat ke binā koī duā hotī nahīñ
hai ġham-e-furqat yahāñ to kuchh ġham-e-hastī bhī hai
dard baḌh jaatā hai had se to davā hotī nahīñ
ḳhuub hai andāz us ke rūThne kā dosto
dil meñ hai nārāzī chehre se numā hotī nahīñ
zindagī to biit jaatī hai ye sābit karne meñ
bas zarā sā saath chalnā hī vafā hotī nahīñ
ek arse se mire zindāñ meñ ye qaid hai
ruuh mere jism se 'qāsid' rihā hotī nahīñ
mulk ki miTTi kabhi dil se juda hoti nahin
kitna bhi main tang kar lun man KHafa hoti nahin
Diary mein jo buzurgon ne likhin thi ibaraten
ab amal ke waste un par raza hoti nahin
wo mila hai jab se mujh ko maut se lagta hai Dar
us ki shirkat ke bina koi dua hoti nahin
hai gham-e-furqat yahan to kuchh gham-e-hasti bhi hai
dard baDh jata hai had se to dawa hoti nahin
KHub hai andaz us ke ruThne ka dosto
dil mein hai naraazi chehre se numa hoti nahin
zindagi to bit jati hai ye sabit karne mein
bas zara sa sath chalna hi wafa hoti nahin
ek arse se mere zindan mein ye qaid hai
ruh mere jism se 'qasid' riha hoti nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.