multafit jab se nigah-e-naz hai
multafit jab se nigāh-e-nāz hai
aur hī kuchh ishq kā andāz hai
gungunāyā naġhma-e-dil husn ne
saarā aalam gosh-bar-āvāz hai
pher kar muñh muskurā kar dekhnā
ye satāne kā nayā andāz hai
mujh ko muztar dil ko bismil kar ga.ī
haa.e kyā zālim nigāh-e-nāz hai
bahr-e-isyāñ meñ sarāpā ġharq huuñ
haañ magar tere karam par naaz hai
'dard' se kyā pūchhte ho rāz-e-ishq
dard to ḳhud hī sarāpā raaz hai
multafit jab se nigah-e-naz hai
aur hi kuchh ishq ka andaz hai
gungunaya naghma-e-dil husn ne
sara aalam gosh-bar-awaz hai
pher kar munh muskura kar dekhna
ye satane ka naya andaz hai
mujh ko muztar dil ko bismil kar gai
hae kya zalim nigah-e-naz hai
bahr-e-isyan mein sarapa gharq hun
han magar tere karam par naz hai
'dard' se kya puchhte ho raaz-e-ishq
dard to KHud hi sarapa raaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.