mumkin hai wo din aae ki duniya mujhe samjhe
mumkin hai vo din aa.e ki duniyā mujhe samjhe
lāzim nahīñ har shaḳhs hī achchhā mujhe samjhe
hai koī yahāñ shahr meñ aisā ki jise maiñ
apnā na kahūñ aur vo apnā mujhe samjhe
har-chand mire saath rahe ahl-e-basīrat
kuchh ahl-e-basīrat the ki tanhā mujhe samjhe
maiñ aaj sar-e-ātish-e-namrūd khaḌā huuñ
ab dekhiye ye ḳhalq-e-ḳhudā kyā mujhe samjhe
mumkin hai wo din aae ki duniya mujhe samjhe
lazim nahin har shaKHs hi achchha mujhe samjhe
hai koi yahan shahr mein aisa ki jise main
apna na kahun aur wo apna mujhe samjhe
har-chand mere sath rahe ahl-e-basirat
kuchh ahl-e-basirat the ki tanha mujhe samjhe
main aaj sar-e-atish-e-namrud khaDa hun
ab dekhiye ye KHalq-e-KHuda kya mujhe samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.