Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak

Shariq Kaifi

mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak

Shariq Kaifi

MORE BYShariq Kaifi

    mumkin na thī ḳhud se shanāsā.ī yahāñ tak

    le aayā mujhe merā tamāshā.ī yahāñ tak

    rasta ho agar yaad to ghar lauT bhī jā.ūñ

    laa.ī thī kisī aur bīnā.ī yahāñ tak

    shāyad tah-e-dariyā meñ chhupā thā kahīñ sahrā

    merī nazar dekh nahīñ paa.ī yahāñ tak

    mahfil meñ bhī tanhā.ī ne pīchhā nahīñ chhoḌā

    ghar meñ na milā maiñ to chalī aa.ī yahāñ tak

    sahrā hai to sahrā tarah pesh bhī aa.e

    aayā hai isī shauq meñ saudā.ī yahāñ tak

    ik khel thā aur khel meñ sochā bhī nahīñ thā

    juḌ jā.egā mujh se vo tamāshā.ī yahāñ tak

    ye umr hai jo us ḳhatā-vār hai 'shāriq'

    rahtī nahīñ bātoñ meñ sachchā.ī yahāñ tak

    mumkin hi na thi KHud se shanasai yahan tak

    le aaya mujhe mera tamashai yahan tak

    rasta ho agar yaad to ghar lauT bhi jaun

    lai thi kisi aur ki binai yahan tak

    shayad tah-e-dariya mein chhupa tha kahin sahra

    meri hi nazar dekh nahin pai yahan tak

    mahfil mein bhi tanhai ne pichha nahin chhoDa

    ghar mein na mila main to chali aai yahan tak

    sahra hai to sahra ki tarah pesh bhi aae

    aaya hai isi shauq mein saudai yahan tak

    ek khel tha aur khel mein socha bhi nahin tha

    juD jaega mujh se wo tamashai yahan tak

    ye umr hai jo us ki KHata-war hai 'shaariq'

    rahti hi nahin baaton mein sachchai yahan tak

    Source :
    • Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 76)
    • Author :Shariq Kaifi
    • Publication : Rekhta Publications (2022)
    • Edition : 3rd
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now