Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mumkin jahan nahin thi wahan kaT di gai

Nasir Amrohvi

mumkin jahan nahin thi wahan kaT di gai

Nasir Amrohvi

MORE BYNasir Amrohvi

    mumkin jahāñ nahīñ thī vahāñ kaaT ga.ī

    kuchh din zindagī thī miyāñ kaaT ga.ī

    muflis jo the vo pyaas shiddat se mar ga.e

    mahloñ samt jū-e-ravāñ kaaT ga.ī

    maiñ ne buland thī sadā ehtijāj

    phir yuuñ huā ki merī zabāñ kaaT ga.ī

    terī zamīñ pe saañs bhī lenā muhāl thā

    majbūr ho ke ziist yahāñ kaaT ga.ī

    merī sazā-e-maut pe ik jashn thā bapā

    vo shor thā ki merī fuġhāñ kaaT ga.ī

    dast-e-hunar pe nok-e-sināñ par ġhurūr hai

    lekin jarī jo nok-e-sināñ kaaT ga.ī

    pahle to baat baat pe Tokā gayā mujhe

    phir tañg aa ke merī inaañ kaaT ga.ī

    'nāsir' hai rāh-e-shauq meñ 'momin' mo'taqid

    umr-e-ravāñ dar ishq-e-butāñ kaaT ga.ī

    mumkin jahan nahin thi wahan kaT di gai

    kuchh din ki zindagi thi miyan kaT di gai

    muflis jo the wo pyas ki shiddat se mar gae

    mahlon ki samt ju-e-rawan kaT di gai

    main ne buland ki thi sada ehtijaj ki

    phir yun hua ki meri zaban kaT di gai

    teri zamin pe sans bhi lena muhaal tha

    majbur ho ke zist yahan kaT di gai

    meri saza-e-maut pe ek jashn tha bapa

    wo shor tha ki meri fughan kaT di gai

    dast-e-hunar pe nok-e-sinan par ghurur hai

    lekin jari jo nok-e-sinan kaT di gai

    pahle to baat baat pe Toka gaya mujhe

    phir tang aa ke meri inan kaT di gai

    'nasir' hai rah-e-shauq mein 'momin' ka mo'taqid

    umr-e-rawan dar ishq-e-butan kaT di gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now