mumkin nahin mata-e-suKHan mujhse chhin le
mumkin nahīñ matā-e-suḳhan mujh se chhīn le
go bāġhbāñ ye kunj-e-chaman mujh se chhīn le
gar ehtirām-e-rasm-e-vafā hai to ai ḳhudā
ye ehtirām-e-rasm-e-kohan mujh se chhīn le
manzar dil o nigāh ke jab ho ga.e udaas
ye be-fazā ilāqa-e-tan mujh se chhīn le
gul-rez merī nāla-kashī se hai shāḳh shāḳh
gulchīñ kā bas chale to ye fan mujh se chhīn le
sīñchī haiñ dil ke ḳhuun se maiñ ne ye kiyāriyāñ
kis kī majāl merā chaman mujh se chhīn le
mumkin nahin mata-e-suKHan mujh se chhin le
go baghban ye kunj-e-chaman mujh se chhin le
gar ehtiram-e-rasm-e-wafa hai to ai KHuda
ye ehtiram-e-rasm-e-kohan mujh se chhin le
manzar dil o nigah ke jab ho gae udas
ye be-faza ilaqa-e-tan mujh se chhin le
gul-rez meri nala-kashi se hai shaKH shaKH
gulchin ka bas chale to ye fan mujh se chhin le
sinchi hain dil ke KHun se main ne ye kiyariyan
kis ki majal mera chaman mujh se chhin le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.