mundi aankhon se har pal jagta hai
muñdī āñkhoñ se har pal jāgtā hai
koī mujh meñ musalsal jāgtā hai
idhar cigarette dhuāñ hone lagā hai
udhar āñkhoñ meñ kājal jāgtā hai
koī pañkhe se laTkā hai junūñ meñ
kahīñ sījoñ pe sandal jāgtā hai
abhī dam saadh ke chup-chāp baiTho
abhī vahshat kā jañgal jāgtā hai
maiñ bichhḌī kuuñj huuñ merī badaulat
kabhī ruuhī kabhī thal jāgtā hai
tahajjud meñ duā ke phuul kāḌhe
mirī ammī kā āñchal jāgtā hai
ye duniyā jis ghaḌī sotī hai 'īmāñ'
mire andar vo sojhal jāgtā hai
mundi aankhon se har pal jagta hai
koi mujh mein musalsal jagta hai
idhar cigarette dhuan hone laga hai
udhar aankhon mein kajal jagta hai
koi pankhe se laTka hai junun mein
kahin sijon pe sandal jagta hai
abhi dam sadh ke chup-chap baiTho
abhi wahshat ka jangal jagta hai
main bichhDi kunj hun meri badaulat
kabhi ruhi kabhi thal jagta hai
tahajjud mein dua ke phul kaDhe
meri ammi ka aanchal jagta hai
ye duniya jis ghaDi soti hai 'iman'
mere andar wo sojhal jagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.