munh andhere teri yaadon se nikalna hai mujhe
muñh añdhere terī yādoñ se nikalnā hai mujhe
aur phir maazī kā pairāhan badalnā hai mujhe
parbatoñ par sub.h kī sī dhuup huuñ maiñ in dinoñ
jāntā huuñ ab Dhalānoñ par phisalnā hai mujhe
vaar se bachnā to hai hī vaar ik karnā bhī hai
aur in ke biich hī ruk kar sañbhalnā hai mujhe
mujh pe hī aa kar Tikīñ bedār āñkheñ is liye
ban ke jugnū aas kā har raat jalnā hai mujhe
ai mirī masrūfiyat mujh ko zarūrat hai tirī
ik purāne ġham kā sar phir se kuchalnā hai mujhe
ik udāsī kā samundar hai mire andar kahīñ
haañ usī meñ shaam ke sūraj sā Dhalnā hai mujhe
maiñ kisī muflis kā jī huuñ yuuñ nahīñ to yuuñ sahī
bas zarā sī baat se hī to bahalnā hai mujhe
maiñ koī but to nahīñ 'ātish' mulā.im barf kā
aañch se ik din magar apnī pighalnā hai mujhe
munh andhere teri yaadon se nikalna hai mujhe
aur phir mazi ka pairahan badalna hai mujhe
parbaton par subh ki si dhup hun main in dinon
jaanta hun ab Dhalanon par phisalna hai mujhe
war se bachna to hai hi war ek karna bhi hai
aur in ke bich hi ruk kar sanbhalna hai mujhe
mujh pe hi aa kar Tikin bedar aankhen is liye
ban ke jugnu aas ka har raat jalna hai mujhe
ai meri masrufiyat mujh ko zarurat hai teri
ek purane gham ka sar phir se kuchalna hai mujhe
ek udasi ka samundar hai mere andar kahin
han usi mein sham ke suraj sa Dhalna hai mujhe
main kisi muflis ka ji hun yun nahin to yun sahi
bas zara si baat se hi to bahalna hai mujhe
main koi but to nahin 'atish' mulaim barf ka
aanch se ek din magar apni pighalna hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.