munh chhupae hue bhaTkegi hawa mere baad
muñh chhupā.e hue bhaTkegī havā mere baad
saaz ho jā.egī sahrā kī sadā mere baad
saaf aate haiñ nazar jis meñ sabhī ke chehre
aa.ine par na rahegī vo jilā mere baad
be-libāsī hī muqaddar thā magar ham-nafaso
tan chhupāne ko milī tum ko ridā mere baad
mere alfāz ko ta.avīz banā kar rakh lo
varna uTh jā.egī duniyā se vafā mere baad
'sāqī' is aas pe kuchh kahne kī himmat kī hai
kaash dohrā.e koī merā kahā mere baad
munh chhupae hue bhaTkegi hawa mere baad
saz ho jaegi sahra ki sada mere baad
saf aate hain nazar jis mein sabhi ke chehre
aaine par na rahegi wo jila mere baad
be-libasi hi muqaddar tha magar ham-nafaso
tan chhupane ko mili tum ko rida mere baad
mere alfaz ko tawiz bana kar rakh lo
warna uTh jaegi duniya se wafa mere baad
'saqi' is aas pe kuchh kahne ki himmat ki hai
kash dohrae koi mera kaha mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.