munh jo dekhe aaina gar kanch ka
muñh jo dekhe ā.īna gar kāñch kā
muskurā uTThe muqaddar kāñch kā
bhuul jā.ūñgā maiñ apne aap ko
'aks pahchānegā jo har kāñch kā
pattharoñ kā hai nasība auj par
le ga.ī tahzīb jhūmar kāñch kā
haath se bachche ke patthar chhīn lo
aadmī hai mere andar kāñch kā
wiper ke raqs se 'ājiz' use
faiz pahuñchā zindagī bhar kāñch kā
munh jo dekhe aaina gar kanch ka
muskura uTThe muqaddar kanch ka
bhul jaunga main apne aap ko
'aks pahchanega jo har kanch ka
pattharon ka hai nasiba auj par
le gai tahzib jhumar kanch ka
hath se bachche ke patthar chhin lo
aadmi hai mere andar kanch ka
wiper ke raqs se 'ajiz' use
faiz pahuncha zindagi bhar kanch ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.