munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai
munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
muñh meñ jis ke tū shab-e-vasl zabāñ detā hai
sub.h tak maare maze hī ke vo jaañ detā hai
bosa dene ko to kahtā hai vo mujh se lekin
maiñ jo chāhūñ ki abhī de so kahāñ detā hai
nāqa-gar gum na kare raah to ḳhud reg-e-ravāñ
ustuḳhvāñ reza-e-majnūñ kā nishāñ detā hai
sub.h-ḳhezoñ ko bhī maut aa ga.ī kyā hijr kī shab
murġh bole hai na mullā hī azaañ detā hai
kuchh to jagah hai mirī dil meñ bhī us ke varna
ġhairoñ ko yuuñ koī pahlū meñ makāñ detā hai
dil o jaañ mujh se vo māñge hai bahā-e-bosa
hai to saudā bahut achchhā pe girāñ detā hai
ye dam-e-sard hai kis kā ki har ik naḳhl-ba-bāġh
yād-e-be-bargi-e-ayyām-e-ḳhizāñ detā hai
phuul jhaḌte haiñ muñh us ke se hazāroñ mujh ko
gāliyāñ gar kabhī vo ġhuncha-dahāñ detā hai
jaan darvāze par us ke hī maiñ jā kar dūñgā
iztirāb-e-dil agar mujh ko amaañ detā hai
'mus.hafī' maiñ hadaf-e-nāz huuñ aur vaañ ġhamza
dam-ba-dam dast-e-taġhāful meñ kamāñ detā hai
munh mein jis ke tu shab-e-wasl zaban deta hai
subh tak mare maze hi ke wo jaan deta hai
bosa dene ko to kahta hai wo mujh se lekin
main jo chahun ki abhi de so kahan deta hai
naqa-gar gum na kare rah to KHud reg-e-rawan
ustuKHwan reza-e-majnun ka nishan deta hai
subh-KHezon ko bhi maut aa gai kya hijr ki shab
murgh bole hai na mulla hi azan deta hai
kuchh to jagah hai meri dil mein bhi us ke warna
ghairon ko yun koi pahlu mein makan deta hai
dil o jaan mujh se wo mange hai baha-e-bosa
hai to sauda bahut achchha pe giran deta hai
ye dam-e-sard hai kis ka ki har ek naKHl-ba-bagh
yaad-e-be-bargi-e-ayyam-e-KHizan deta hai
phul jhaDte hain munh us ke se hazaron mujh ko
galiyan gar kabhi wo ghuncha-dahan deta hai
jaan darwaze par us ke hi main ja kar dunga
iztirab-e-dil agar mujh ko aman deta hai
'mushafi' main hadaf-e-naz hun aur wan ghamza
dam-ba-dam dast-e-taghaful mein kaman deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.